karishmayi patthar; part 2

Wo ladka laut jata hai waha se aur ab kahaniyon k anusar wo jagah dubara usko nhi milne wali thi,...usney jiska intjaar kiya or waqt aane pe khud k liye faisla b nhi kr paya wo ab apne ghar aa chuka tha....kuch din beet-ta hai ek roj subh subh ghar ki ghanti bajti h aur toh ladka gate kholte hi us ladki ko samney pata h jissey kayi saal ho chuke they baat kiye aur ab wo isko b sapna mann rha tha...magar wo sachmuch khush hota h ki wo aayi...magar usko hone wale cheezon ka andaza ho kar b nhi tha.... Wo baaton baaton mein ussey madat mange aayi thi...wo ladki usko btati h ki taaron ko dekh k usko pta chla h ki wo jagah haal hi k kuch saalon mein kisi ne khoj nikaali thi aur ab wo ussey chahti thi ki wo khojne mein madad krey jabki wo ladka yahi samjhna chah rha tha ki ek baar kisi ko mil chuki cheez dubara kaise mil sakti hai aur jaane wo puri duniya mein kaha aur kisney khoja hoga,...aur saath hi wo usko rok sake is pagal-pan k liye jo wo already kr chuka tha toh usney possibilities ginayi ki,...agar kisi khola tha toh wo khwaish mang k koi chamatkar kyu nahi dikhaya duniya mein,... Wo ab duniyaa mein hoga b ki nhi...khoje hota toh akhbaaron mein naam hota...aur khoja b toh pta nhi kaha...aur ek baar khojne k baad ab wo Naa jaane kitne saalon baad kisi ko Miley kyunki abhi uski Maan b le toh ussey pehle wo ek Egyptian Raja mein 3-4 hazaar saal pehle khoja tha...toh wo ladki mayush hoti h ki wo uski ab madat nhi Krna chahta h,...wo ladki usko taunt maarti h ki apni khwahish Puri krne k liye hi mere saath rhe jab pta chla nhi rahugi...toh saath chodh diya...ladki aggressive ho k...kapde khol k kehti h lo bhr lo mann...magar ladka sharminda ho k bolta h band kro ye sab...aur btao kaise madat kr sakta hu...toh ladki rote hue gale lgati h aur bolti h ek cafe mein next day milne ko jaha wo usko apna progression btana chahti thi....toh next day milte h dono aur coffee pite hue pehle ladki puchti h....ki life mein kya chal rha h uske...ladka hasta h aur bolta h kuch b nhi...ladki puchti h or thoda pressure daalti h ki btaye...kuch chhupaye ne wo...pehle ki tarah...toh ladka btata h ki wo comedian h...bas ussi se kaam chl jata h uska....toh ladki shocked or impressed dono ki reaction de k puchti h ki science student they toh kahi acchi job kyu nhi kiya...sabko Paisa chahiye hota h Issey log khwaab pure krte h toh ladka btata h usko ki uske numbers Kam aagye they aur padhai pe dhyaan b nhi tha...tab usko khud k aasu b chipane toh logo ko hasane lga...
Aur phir baat change krke k puchta h ki btaye wo kaise madat kr sakta h...tab ladki btati h ki taaron ki padhai ki h usney or saath hi saath apni khoj b jaari rakhi thi.....aur us taaron ki dishaon se pta chla h ki India mein hi kahin South mein kisi ne khoja h...or usko ek Arabic book mili jiske translation k baad pta chla h ki wo Patthar us din Milne k baad se issi insaan ko shyd dubara na mile magar...agle 100 saal tak wo yahi kahi hi rahega bas khojna hoga usko hume ya phir wo hume khoj le...ladka swaal krta h ki wo Egyptian Raja apne country mein khoja tha or ab wo Bharat mein kaise aa sakta h toh ladki anumaan lgti h ki shyd tectonic plates k movment se aisha hua ho...
Ab ladke ko madat toh krni thi magar usko b pta tha ki agar saath rahega toh wo kabhi nhi milega uske rehte toh wo usko bolta h ki 100 saal un dono ki bacchi zindagi mila k baccho hogi toh itna time nhi h ki saath khojo aur sujhav deta h ki wo dono kl hi South Indian mein k liye niklenge...aishe jagah khojne jaisa books mein vivrand kiya gya h....toh wo jaane se pehle phir se yoga krne ki sochta h...kyunki kuch kuch sapne jaisaa hi ho rha tha us aakhiri wale...wo b kayi saalon baad....toh wo is umeed mein ki aage kuch madat mil sake...toh wo ladka baitha h or ussey kuch fyda nhi hota h...usey kuch jab dikhta h jab wo raat ko spots h us din...wo dekhta h ki niyam mein badlav hue h...kuch deshsat jaisa ho rakha tha...ussey umeed nhi thi sapne ki aur kayi baar sapne yaad b nhi rehte h,... aur kuch hafte khojne k baad jab dono ko nhi mil rha tha toh ladke ne socha ki ladki ko kahi hill side le jaye shyd parthar k bahane time bitane ka mauka nhi khona chahta tha aur wo wahi din tha uska jab pehla sapna sach hone wala tha...wo Patthar mil gya...magar ladki ko lga ki usney usko khoja h...par aisha nhi tha...us patthar ne ladke ko khoj liya...ek hi book thi Arabic mein jismey is patthar k baare mein likha paya gya tha...aur sirf 1 baar...kisi ko nhi pta tha dubara paane pe kya hota h...is baar patthar ne pehli baar se niyaam alag btaye ladki ko...kyunki wo Patthar pe khadi pe...1 bali... khawaish 1... Chahe mango ya na mango... Ladka gusse se tilmila utth-ta h aur puchta h ki ye niyam nhi tha...toh patthar us ladke ka naam le kar usko jwaab deta h ki tum is patthar ko dubara is Janam mein khoje ho...aur iska bhuktaan toh bharna padega....ladki puchti h ladke se ki kya wo tum they jisney Issey kuch samay pehle khoja tha toh ladka nirasha k saath haa bolta h...phir patthar usko saare jwaaab deti h ki kaise kya hua...dono roo rhe hote h... tabhi ladki swaal krti h patthar se ki is Janam se kya matlab h uska....toh Patthar jwaab deta h ki...ye wahi Egyptian Raja h jisney pehli baar isko apni biwi k saath khoja tha... aur us janam mein wo ladki hi uski hone waali biwi thi..magar us time Raja ne aishi Shakti mangi jissey usko har janam hone wali ghatnaon ka aabhash hota rhe...uski hone wali biwi puchti h ki kya mujhe nhi chahte ho toh Raja bolta h ki is Janam mein toh wo uski ho hi chuki h...wo itna Ameer or balwaan tha ki koi uska Baal b Baka nhi kr sakta tha...
Aur khwaaish ne apna kaam kiya or kudrat ne apna...us ladke har janam mein shkti toh paayi magar kabhi apna pyaar apna paya aur kabhi nhi paya....us sapne mein hue bilkul ussi tarah...ladki ne rote hue ussey uski Bali mangi jo usko bachane aaya tha...sabhi ko maut ka darr hota h... ladke ne Bali di aur ladki haalaat pe afsos krte hue....roti rahi... patthar ussey aakhiri baar pucha uski khwaish...
Toh ladki ne socha aur bola ki har janam ne wo is ladki hi hoye...
Aur jaisa ki apko pta h is Janam mein wo ladka marr chuka tha matlab wo kisi ki nhi hui...wo aakhiri dam Tak orphanage k baccho mein lgi rhi or apna ngo chalti rhi...


                                            By— Pradeep Yadav

Comments

Popular Posts